Nazakat歌词由Shabdkosh97演唱,出自专辑《Nazakat》,下面是《Nazakat》完整版歌词!
Nazakat歌词完整版
Nazakat hai tu tu hi suroor
Tujhse kahun kya mai dil ke fitoor
Ya bolun tujhe nigahon ka noor
Hai kaisa dastoor ye kaisa dastoor hai
kasmo aur vadon se gehre ye lafz hai
Sun kya ye keh rhe hai
Ghaav bhi gehre
Hum ghut ghut ke seh rhe hai
Haste to tum bhi the meri sadaqat pe
Kehti wo mujhse ki beta tu tara
Rab ka dulara
Thi jhuthi tasalli wo jhuta dilasa
Mai zinda bhi murda bhi
Zakhmon ke jungle me iklauta raja
Jismo ke daldal me dhas sa gya tha
Ab dekhu ye dariya ye mujhko bula rha
Lehre samandar ki mujhko suna rhi
Meethi si maiyan ki lori ye nindiya satati
Ek arse se mujhko ye faasle badhte kyu jaate
Mai sochu kya galti ye meri
Kyu janma jahan me
Mai khud ko jo dekhu to bhar bhar ke cheeku
Aur rodu shafa’at ke aage
Rodu shafa’at ke aage
Rodu shafa’at ke aage
Rodu shafa’at ke aage
Zalim mai zariya gunahoon ka dariya mai
Kya ye falak hai
Kehna mujhse ye mera sabab hai
Ye mera sabab hai
Zalim mai zariya gunahoon ka dariya mai
Kya ye falak hai
Kehna mujhse ye mera sabab hai
Ye mera sabab hai
khud ko nawazu ya khud ko saza du
Mai bhatka musafir hu kismat se kafir hu
Ranjish ye kaisi hai maa meri
Teri dua dar pe aati nhi kyu
Khoi hai maine jeene ki tamannah
Kya mai galata hu ?
kaise mai janu khuda bhi na jane ye tu bhi na jane
Mai bhookha tha pyasa tha
Kismat ka pyada tha
Thokare khata tha chlta mai jata tha
khwahishien itni ye rab se hai meri
Is jaddo jehad se tu kar de bari
Khidmat me shamil kar khud ki khudaya
Jab kholega jannat ke darwaaze mere liye
Mannate meri bhi hogi ye puri ya
Ye bhi zaroori na tujhko lage mere maula
Uljhan ye kaisi hai ulfat me gote laga ke mai lauta
To dekhu ye aasman chaand aur sitaare
Hai mujhko bulate na mud kar mai dekhu ab duniya ko sahiba
Teri kasam ye akhri jaam inteqaam ye mera salam