Trahimam歌词由Ullumanati演唱,出自专辑《Trahimam》,下面是《Trahimam》完整版歌词!
Trahimam歌词完整版
Trahimam Trahimam Bhola hai krodh mein
Ankhein laal ankhein laal h pritishodh mein
Daksh prajapati Yagya krayo Yagya mein agni ka kund sajayo
Brahma Vishnu or sabb gann padhare kintu Rajan Bhole ko na bulayo
Kehne lagi Sati jana main chahun pita k Yagya me shamil ho jaun
bole Mahadev Mata Sati ko ke bina bulaye main kahin na jaun
Nandi ke sang chali Mata Sati Yagya m pohonchi fir Mata Sati
krodhit hue raja Sati ko dekh ke puche yahan pe kyu aai Sati
pita ke shabdo se thess lagi pita or putri ki dharti bati
ek jagah pe voh dono alag the kehne lgi jab Mata Sati
Shiv ke bare me ek na sunugi khud pe or na sayyam me rakhungi
shakti ka hua anadr iss dharti pe bina vilambh ke mrityu ko chunungi
Yagya ki agni m khudko jala diya sabhi Gano mein tha matam sa cha gya
Bhole ko Mata ki mili khabar toh fir Bhole ne ha ha kaar macha diya
Trahimam Trahimam.....
Bhola hai krodh me
Aankhe lal aankhe lal
Hain pratishodh me
Hain pratishodh me
Jata ukhad ke dharti pe patki toh aan khada hua rudra roop
bole dahad ke sare sansaar ko aaj toh dunga yeh duniya Fook
Daksh ka vansh Mitana mujhe bas ek matra hai kaam Mera
Shiv ke krodh se paida hua hu mae veerbhadra hai naam mera
Yagya kara sara taar taar
kisi ki sunta na pukaar
Bhaye se kanpe dekh ke lahu ki dhaar chalti kataar
Daksh ne veer pe vaar kiya toh veer pe pada na koi farak
veer k ek hi vaar main daksh ka Sar alag or dhad alag
bramha vishnu gye shiv ke dwar bole roko yeh ha ha kaar
Yagya adhoora na choda jaye kardo vaapas raja ke praan
shama yachna krke devon ne Bhole ko shaant kiya
dhad pe bhed ka Sar lagake raja ko Jeevan Daan diya
Trahimam Trahimam......
Bhola hai krodh me
Aankhe lal aankhe lal
Hain pratishodh me
Hain pratishodh me