Ho Raha Hai Hussain (as) Ka Chehlum歌词由Hasnain Abidi演唱,出自专辑《Hum Azadar e Karbobala Hai》,下面是《Ho Raha Hai Hussain (as) Ka Chehlum》完整版歌词!
Ho Raha Hai Hussain (as) Ka Chehlum歌词完整版
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.
1) Zulm har ek uthaayi hai Zainab(sa),
Wada karke nibhaayi hai Zainab(sa),
Qaid khaane se aayi hai Zainab(sa).
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.
2) Shaahe waala ke jaan nisaaroun ka,
Chashm-e-Zainab(sa) tere sitaaroun ka,
Pursa dena hai gham ke maaroun ka.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.
3) Sab azadaar-e-Shaahe Karbobala,
Bibi Kubra(sa) ko dete hain pursa,
Bhaiyon ka pidar ka waali ka.
Horaha hai Hussain(as) ka Chehlum,
Qalb e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.
4) Hashr ek Karbala me hai barpa,
Haaye kaisa sitam ye dhaaya gaya,
Ghum zada Fatima(sa) ka hai kunba.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.
5) Asghar-e-bezubaan ka maatam hai,
Akbar- e-noujawan ka maatam hai,
Aur Shahe dojahaan ka maatam hai.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum
Qalb - e- Zehra(sa) ke chain ka chehlum.
6) Aal-e-Ahmed(saws) hai aaj maatam me,
Doobi hai kayenaat is gham me,
Goonjti hai sada ye aalam me.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.
7) Kya qayamat ka dekho manzar hai,
Qabr-e-Sarwar(a.s) pa ek mehshar hai,
Nouhagar Fatima(sa) ki dukhtar hai.
Horaha hai Hussain (as) ka chehlum.
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.
8) Bain karti hain Zainab(sa)-e-muztar,
Ek qayamat guzar gayi hum par,
Margayi qaid me teri dukhtar.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.
9) Umme Kulsoom(sa) hai bohot muztar,
Qabr-e-Abbas(as) par hai nouhagar,
Kehti hai Ghazi se ye ro ro kar.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.
10) Saath kunbe ke darbadar phir kar,
Leke soughaat aayi hai khwahar,
Ab nishaan-e-rasan hain baazu par.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.
11) Hai dua ye laboun pe 'Sahil' ke,
Aye Khuda hum ko din wo dikhlaaye,
Nouha 'Hasnain' Karbala me padhe
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalbe-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.