Fati Parchi歌词由Aditya Kambhampati演唱,出自专辑《The Classroom Project》,下面是《Fati Parchi》完整版歌词!
Fati Parchi歌词完整版
Mili pitaji se ek scooter bus wohi kaafi thi,
Sawaari teen thi seat do ki jab vo naapi thi,
Khali sadak pe milte kutte aur police the,
Hawaayein jaise khushi chhuke hume jaati thi
Fati parchi toh musibaton ka pahaad tha,
Jode chillar sabke toh pachaas ka jugaad tha,
Ghaate mein jaata apna chai-pani-nashta,
Pitaji ko na batana...
Jeene ki zaruratein kam sahi,
Apne mein zindagi hain sahi,
Jeene ke liye...
Ye zindagi yede faislon ka khel hain,
Ye zindagi na pass na fail hain,
Ye zindagi....
Gadhe the hum pehne sher ki vo khaal thi,
Kati patang jaisi apni vo chaal thi,
Samjhaate sab phir bohut humko peette,
Na samajhte the kuch phir bhi hum toh dheet the
Nukkad se nikli nukkad pe wapas vo aati thi,
Puncture tyre wali vo apni sawaari thi,
Alfaaz padhke kuch logo ke koi panno ke,
Sawaari wahi par galiyaan niraali thi,
Duniya ghumne ka apna toh khwaab tha,
Tel pe chalti hui scooter ka hisaab tha,
Thodi si duty thodi koshishein bawaal kar,
Wapas ghar hi hain aana,
Jeene ki zaruratein kam sahi,
Apne mein zindagi hain sahi,
Jeene ke liye...
Ye zindagi yede faislon ka khel hain,
Ye zindagi na pass na fail hain,
Ye zindagi....
Jeene ki zaruratein kam sahi,
Apne mein zindagi hain sahi,
Jeene ki zaruratein kam sahi,
Apne mein zindagi hain sahi,
Ye zindagi yede faislon ka khel hain,
Ye zindagi na pass na fail hain,
Ye zindagi....