Sirhaane歌词由Aditya Kambhampati演唱,出自专辑《The Classroom Project》,下面是《Sirhaane》完整版歌词!
Sirhaane歌词完整版
Din sabka hi dhal jaata, dikhta vo toota sa taara,
Gustakh dil ka sahara, uska wohi tha ujala,
Chuppi mein jeete the saare,
Bhole se darr the humaare,
Ye raaz mere chhupte rehte sirhaane tale,
Vo aaj bhi mujhe milte rehte sirhaane tale,
Nayi nayi raatein jo aati, kuch waisi banne ko chahti
Sab milte apne thikaane, ghar pe de jhoothe bahaane,
Din tha farishton ka saaya, raatein shaitaani pitaara,
Chuski mein gham ko the peete,
Par jeene ke din wohi the,
Ye raaz mere chhupte rehte sirhaane tale,
Vo aaj bhi mujhe milte rehte sirhaane tale,
Nayi nayi raatein jo aati, kuch waisi banne ko chahti
Khidkiyon se kar ishaarein, aisi hoti thi baatein ,
Dheeme se sannate mein phir ghar se nikalte the saare,
Vo gali aur vo sadak phir apne hote the saare,
Kya pata shayad ab aati unko bhi humaari yaadein
Ye raaz mere chhupte rehte sirhaane tale,
Vo aaj bhi mujhe milte rehte sirhaane tale,
Nayi nayi raatein jo aati, kuch waisi banne ko chahti