Shikayat歌词由AUR演唱,出自专辑《Shikayat》,下面是《Shikayat》完整版歌词!
Shikayat歌词完整版
Shikayat - AUR
Lyrics by:Ahad Khan/Usama Ali
Composed by:Raffey Anwar
Zakhm dil pe hain davaa karo
Aao milke rasmein mohabbat adaa karo
Kuch naa kar sako mere liye
To bas khwabo mein hi
Mujhse mil liya karo
Aa mil lo kahi mujhse
Ke umeedein kuch baaki hai meri
Tumse na jaane hasrat
Hi rahi ho tum meri
Ke shayad ye din aakhiri ho
Hum khwahish mein marr jaye
Aa mil lo kahi mujhse
Ke ummidein kuch baaqi hain meri tumse
Le chalo wahan mujhe
Main dekhta hoon aasmaan
Mein bhi ab tujhe
Dekha ek roz taara toot ke gaya
Maangi bhi duaayein
Par haan tu nahi mila
Woh aaya hi nahi jo ek dafa gaya
Woh door itna ho gaya main dekh na saka
Hai dhoondhta wajah ab dil yeh bewajah
Hai toota is tarah se dil
Ke phir nahi laga
Toh aa milo kahin oh mere humnasheen
Main ab bhi hoon akela
Yeh tu samjha kyun nahi
Wajood dillagi ki aarzoo nahi
Mohabbat toh wahi
Hai jo ke milti hi nahi
Mohabbaton mein jhoom loon
Main kya karun bata
Main mubtila gham mein
Ya main gham ki hoon dawa
Main baddua hoon ya dua hoon
Ya main hoon saza
Ab tu bata ke main hoon
Ya phir tu hai laapata
Tu bata
Laapata ho gaye humare liye tum
Itna chaaha ke tum bewafa ho gaye
Jaana bhoolna tha tumhein
Khuda ki qasam
Haath jab bhi uthe tum dua ho gaye
Honthon pe dua hai waqt tham nahi raha
Tu na mil saka
Tu bas nazam mein hi raha
Duniya ki mohabbaton ne sab badal diya
Tera gham ajeeb hai
Woh wahin ka wahin raha
Bhoolna main chaah raha tha
Tujhko is tarah
Na teri jagah koi ho na ho tu wahan
Ab teri talash mein pata chala mujhe
Tumse hi shuru hai raat tumse hi subah
Tu mil gayi toh ja milegi zindagi mujhe
Jo tu nahi toh chahiye kuch nahi mujhe
Khwaab tu ehsaas tu hi raat tu subah
Kaat dunga zindagi main dekh ke tujhe
Dekh le mujhe
Yeh kat rahi hai
Zindagi ab dekh ke tujhe
Toot hi gaya hoon tu samet le mujhe
Samet le mujhe
Kahin bikhar na jaaun main
Haa haaa
Haaaaa
Toh aao na
Mere aansu ko pochho
Aur phir se rulaao mujhe
Mera sab kuch hai tere liye
Toh aao na
Dil ki baatein karo
Aur phir se sataao mujhe
Mera sab kuch hai tere liye