Aatmvishwas歌词由Kumud演唱,出自专辑《Aatmvishwas》,下面是《Aatmvishwas》完整版歌词!
Aatmvishwas歌词完整版
Yeah
It's Me Kumud
Tootne na diya kabhi aatmvishvas
Yeah
Suno
Shuruwat rahi kuch khaas ni
upkaran ke naam pe tha kuch pas ni
mere ateet ki galtiyan jinhe yaad
un logo ka hasna bhi mujh pe tha lazmi
logo ki to bs hil jati thi zubaan
ab samay itna hogya hai kuch to kama
ek kamre mai reh ke na milega nafa
par mere din kaise guzrey ye mujhe he pta
kamre mai kursi or chota sa wo bulb
bina pankhey ke rehta tha mai paseeno mai tarr
par sabhi ko mai lagta tha shuru se galat
ki ye kuch na karega ise milega sabak
ha zindagi mai di hai kayi logo ne dakhal
wo dard khangale jo hai barso se dafan
sath baithe mere hase peeche mere he kaam pe
sab jhela maine tab jaa ke toota ye sabar
par chhoda na safar kare dil se jatan
kyunki dil mai thi mere ek shuru se agan
mai shuru se alag kuch zyada he talab
inhe dikha na fark par ye hausle buland
meri soch mai hai dum inki soch hai khatam
jab jheley maine dukh ayi sukh ki samajh
shrishti ke nirman mai to hath nahi mera
par jaldi he samjha kyu liya maine janam
kyunki choti-choti baate ho ya baate badi-badi
kitna bhi khichai koi peechay rukna na kabhi
rukh badle ye duniya dekhe tumhe jb ghut-ta
par uthne ke bad judti hai kadi kadi
mushkilo ko bnaya hathiyar har ghadi
aage bhada mushkilo ko mai cheer ke sabhi
kabhi sunne ke liye na the 20 log mujhe
par aaj sunne ke liye mujhe bheed hai khadi
Jisa maine bola shuruwat rahi khaas ni
kore kagaz or bs siyahi mere pas thi
dost ka mic udhar le ke gana gaya
sunne wale bole gane mai koi damdaar baat ni
awaaz koi khas ni or dhang ke koi saaz ni
kya yehi karega ya fir ye gaana tera aakhri
ek rishtedar bola kya ye shuru kar diya hai
kyunki naach gane wale kaam ate hume raas ni
koi rangbaz khwab ni khwab the mere saral
ki deni logo ko prerna hai gaano se magar
ek din mai he beej ban jaye kaise ped
dhutkarte the lekin inhe ye na aya samajh
sabar ek baat se ni toota baate aisi bhot si
mansik or dil pe bhi kafi mujhe chot mili
aankhey dukhti thi aansu ruktey nahi the
ek samay pe bas mer i maut paane ki guhar thi
lekin maani haar ni ha mai bhi poora dheet
awaaz ho ya saaz maine sab kara theek
charchit tha mai logo mai bas hasi ke taur pe
lekin har galti se maine li hai bhot seekh
ek samay tha mai bhot he pareshan
kafi dino tak mai likh na paya koi geet
dekh mujhe aisa maa boli beta sadiyo se yehi reet
ki mann ke haare haar man ke jeetey jeet
kabhi kabhi wala ye junoon ni
junoon 13 saal ki umar se kayam
13 saal ki umar se le ke ab tak
dheere dheere meri zindagi se log hote rahe gayab
kuch aye wapis leke apne chehre do maine bola rehne do
tum chhod gye akela mai bhi raha bina baat kiye
baat he ye sikha nahi jhukna
or likha jab gir ke uthna to panne phad diye
sune mujhe koi bhi ya koi nahi
kon galat bole ya fir bole mujhe kon sahi
koi ni kala maine khoyi ni
sune mujhe 10 20 30 50 ya bheed kahi pade farak nahi
falak nahi usse bhi jana mujhe aagey
ki zamana pehchaney mann jane
kya kya saha maine kayi kayi bar dil toota mera
par maine tootney na diya kabhi aatmvishvas.