Haareya歌词由Kaafir Music&Misxra&The Rajasthani Choro演唱,出自专辑《Haareya》,下面是《Haareya》完整版歌词!
Haareya歌词完整版
Ya toh Khayaal-e-zehen baat du,
Ya khud ki nass kaat lu,
Ye chhodta hu tumpar ab
Mera kya..
Mai toh khaaali ek baat hu, jiska badalna Tay hai,
Tumse itni kareebi ka matlab Prem nahi, tumhse bichadne ka bhay hai
Aur iss manav ka karu kya, iska zubaan par toh bss mai hai
Bekhabar sa, besabar sa,
Ye ajab sa hai manushya
Beadab sa, bedhadhak sa
Ye samajhta hai sab usse
karte Prem
Dhang se dekh
Kaat tujhko bharte pet
Jaal kuch toh rachte be-hisaab,
Aur tu fir bhi bhaagta pare kyu,
Khul ke baat le tu khud ki daastaan, dare kyu?
Ye tere sab sabar ke dhaage khud ba khud Kate kyu?
Ye aisi uljhatein kyu? Ye aisi Uljhanein kyu?
Ye joothi qurbatein kyu?
Aur iss khudgarzi ki dor mei rishte bigad jaayenge
Tumhe yaad karenge aur pehle se zyada bikhar jayenge
Ek aur nazm likhenge tumpar aur tumko sunayenge
Tumhe pachtava na ho isliye haskar sunayenge
Tumhe khuda ne banaya,
insaan ne tabhi mandir banaya hoga
Kal raat uss chaaku se,
naya zakham banaya hoga
Tumhe paane ke mauke toh mujhe bhi mile honge
Par tumhe khush dekhne khaatir vo mauka gawaya hoga
Aur ab,
Tumhe manzil maanu ya safar?
Chalo apna maan leta hu
Tum mera vo aadha sach Jo kabhi poora hua nahi
Chalo tumhe ek sapna maan leta hu
Kal raat tumhara khayaal nahi aaya,
Kal raat humnein diwali nahi manaayi
तुम अगर मुझे मिल जाती तो तुम मेरी हार होती,
अब जो तुम मिली नहीं तो तुम्हें मेरी जीत maan leta हूँ
Mai Haareya