KATU VACHAN歌词由LASH CURRY&Xolo.prod&Maashu演唱,出自专辑《KATU VACHAN》,下面是《KATU VACHAN》完整版歌词!
KATU VACHAN歌词完整版
[Lash curry
Tera Sahara main chaah raha
Begana ye safar
Hai jana pehchaana
Tarana ye magar
Basera khwaab ka aakh mein laazmi
Barbaad mein aag hai saakshi
Kitabi ye baat hai kaagzi
Kharab hai aadat sharab ki (chhod di)
Imarate shahar mein bohot
Par gareebi sadko pe dikhti hai aaj bhi
baate ye kaanch si chuve
Par chehra batatai hai saaf
100 number dial 100 number dial
Prashasan hai late toh 100 jane ghayal
100 jane dekhke video bana rahe tha
Road pe dogle 100 jane kayar
Maano to khuda na maano to patthar
Jawani mekhaano mein bahttar
Mili azadi saalon se ladkar
Gore hote ni kaalo se badkar
Naa seekha kitabo se padkar
Roshan hua chirago sa jal kar
Khada hoon main iraado pe datkar
Intezar kare maa meri Ghar par
Mere khwabo mein ata shaitan
Becheni banke bethi hai mehman
Kamre ke kone mein betha hu shant
Khidki se taka jhaaki kare chand
Baat cheet hoti taaro se
Dono ko girne ko dukh hai
Andhera ye dosti kar betha mujhse
Badal deta kirno ka rukh ye
Bachpan kandali mein
Ghar pe the dukh
Karna hai baap ko
Karze se mukt
Mujhko pata hai ki koi to dekh raha hai
Upar se bas uski wajah se mein chup
Uthaya tha pen majburi majburi mei
Ab yahi pen mere har dukh ka sathi hai
Har vyakti same tu bhi kaliyug ka vaas hai
Married hoon game se kar lunga shadi main
Ab talak
Qwara
Awara
Sahara Nasha
Nazara
Samhara
Humara mazaa
Me ghuma har jagah
Tumhara pata
Na mila tu
Firse dobara bata
Ye gana un logo ke liye jo haar gaye
Dusro ke liye khudki khushi maar gaye
Kya matlab kama liya tune bohot
Kya matlab mayyat pe par kandhe na 4 gaye
Basti ke bachcho ke basto mein *****
Kam umar se ladko ke purso mein charas
Hum umar ke ladko ko dekha latakte
Milavate kar rhi matherso me nurse
Biwi ko belt se maare sharab
Yha aadmi yuhi badnaam hai
Mard juta leta pese sharab ke
Bhoz lage bachho ki book ka daam hai
[Maashu
In shabdon mein Shakti hai,
Shabd hi mantra shabd hi bhakti hai,
Yeh jeewan saakar hai tabhi, agar tujhme Sabra, mann mein trapti hai,
Rachi bhagwan ne shrishti,
Aur si manushya ko Divya Drishti hai
Samay padhata paath
Paristhiti leti pariksha sabki hai,
Gyan agyan ke beech mein lipti maya gazab ki hai,
Yeh kuch bhi kar sakti hai,
Kabhi andheri, kabhi chamkati hai,
Budhhi ko vash mein karke nritya karti mann mein hi pakti hai,
Kabhi hai sheetal jal si,
Kabhi hai usma, jwala si jalti hai,
Wajah hai lalach, jalan irsha,
Aur janani chhal ki hai ,
Sabko hi jaldi hai,
chinta kal ki,
Chinta fal ki hai,
Chinta chita saman hai,
Chita jo tere chitt mein jalti hai,
Hona tujhe viksit tha,
Horaha vichlit mann mein hai vish itna,
Ekatrit kar thoda bal aur kar ek karm jo ho vishwa-hit ka,
Khud mein tu jhaak ke dekh,
Mere mitra pehle khud se kar mitrata,
Mujhe pata hai tu pyasa bohot hai voh pyas kuch nahi hai "Mrigtrishna",
Pehle tha main Thug ab Bas Natmastak,
Brahman sach ek Hari Om Tat Sat,
Naam "Devansh" hoon main rishiyon ka vanshaj,
Seedhe hai Shiv aur Shakti se sampark,
Sat Chit Ananda sukh hai nirantar,
Shudha vichara yeh dhyana hi hai dhan ab,
Dhyana toh kar tere katenge sankat,
Dhayna toh kar tujhe dikhenge shankar,
Hai sampatti Teri Dhrina - Shakti,
Karm hi yog hai mann ki trapti,
Sansar sagar karm hi hai kashti,
Karm hi Dharm hai jo banata vyaktitva,
Karm mera apno ko rakhna surakshit,
Karm kare mastishk
Gyan kare arjit,
Jeewan in karmo ko karke samarpit,
In panno pe shabdon ko karta hoon Ankit.