Suicide Note (The Last Letter)歌词由Rapper LEE演唱,出自专辑《Suicide Note (The Last Letter)》,下面是《Suicide Note (The Last Letter)》完整版歌词!
Suicide Note (The Last Letter)歌词完整版
Lyrics of “Rapper LEE - Suicide Note (The Last Letter)”
Chorus :
Likh Raha kahani taki is Dil ko sakoon mile
Marne ke bad, kabhi dubara na rooh mile
Duniya ki bheed me, Woh kho gya khud hi
Na Manzil mili na hi Dil ko wo sakoon mile
Akhri khat hai shayad, na kabhi tumhe mile
Me maaf kar chuka hun, Jo bhi the shikve gile
Duniya ki bheed me kho gyi jine ki tamanna
Na milun tumhe kabhi na kabhi jeevan mile
1st Rap Verse :
Kya dekh kar, sangeet me fuke, laakho rupay
Chhod Di job, taki kala meri na ruke
Koshish yahi thi meri wajah na sir jhuke
Kuch kar na bethun, galti se galat kadam uthe
Mahino lagataar jaga, par kismat na jage
Raat bhar jaagta raha Aaj bhi kam khake
Maa baap ka chehra dekh Rona ajata hai mujhe
Shareer tootta hai, mera kyun ye man bhage
Janha, mila sakoon sirf wo maa ki god thi
Kuch na kamaya baap ke paiso ki moj ki
Bade Bhai ki tarah, kisika ab lobh nhi
Muqt hona jeevan se Na mile mujhe maut bhai
Mein bhi chahta hun koi to aake ab dekhe mujhe
Kaisa hun mein Dil ka haal kya puche mujhe
Mushkil hai sehna har Roz ki ladayi ladna
Nikal jay pran mere Kall se Na dekhun yah subah
Bachan me esi duniya kabhi na dekhi thi shayad
Mujhe Banna tha rapper, dadi ki nazro me gayak
10 saal laga diye banane me khudko bhi layak
Aur baap bole ki uska Chhota beta nalayak
Zarurat ki har ek cheej, Ghar me khud hi laya
Na mili Ghar me ijjat, Na bahar bana paya
Koshish meri thi Maa ka Laadla me ban sakun
Afsos hai ki, wo bhi kyun aakhir tak ban na paya
Chorus :
Likh Raha kahani taki is Dil ko sakoon mile
Marne ke bad, kabhi dubara na rooh mile
Duniya ki bheed me, Woh kho gya khud hi
Na Manzil mili na hi Dil ko wo sakoon mile
Akhri khat hai shayad, na kabhi tumhe mile
Me maaf kar chuka hun, Jo bhi the shikve gile
Duniya ki bheed me kho gyi jine ki tamanna
Na milun tumhe kabhi na kabhi jeevan mile
2nd Rap Verse :
Mujhe lablo ne tang kiya saath na hi sang Diya
4 paise deke mujhse mangte hai panktiya
Signed hoke bhi artist ki kala bekadar
Tabhi akela rehne ka tha, mene pran liya
Gaa deta tha pehle, Jo bhi gaane ka man Kiya
Kabil dimaag, Mujhse na hoti notankiya
Shatir dimaag, channel hacked fir delete kiya
Na jane paiso ne kitno ka munh hai band kiya
Marne ke bad bech Dena mene Jo bnaya,
Paapa ko bta Dena rapper lee ne kya kamaya
Marne ke bad sab kuch chhod kar hi jaunga
Music ke chakkar me, Bhale hi Aaj Tak sab gavaya
Mene faansi lagane ki koshish Kari thi kamre me
Pta nahi kismat me Kya likha us rab ne hai
Na saath deta koi, na hi koi dard samjhe
Mene suna tha itni insaniyat to sab me hai
Mere pe karza hua pda Bank Wale aate Ghar pe hai
Apne hi Ghar me Aaj kall betha rehta hun dar ke mein
Dekh kar bhi, mujhe andekha saare karte hai
Kaise karun saamna, jimme wari bhi sar pe hai
Aaj bhi roya hun, apne gharwalo se ladke mein
Ek gaana likhne me hi bhar daale 100 parche hai
Ghar na chala pa raha, bad rahe kharche karze hai
Dekhna chahta hun kya akhir me hota marke hai
Chorus :
Likh Raha kahani taki is Dil ko sakoon mile
Marne ke bad, kabhi dubara na rooh mile
Duniya ki bheed me, Woh kho gya khud hi
Na Manzil mili na hi Dil ko wo sakoon mile
Akhri khat hai shayad, na kabhi tumhe mile
Me maaf kar chuka hun, Jo bhi the shikve gile
Duniya ki bheed me kho gyi jine ki tamanna
Na milun tumhe kabhi na kabhi jeevan mile
3rd Rap Verse :
Hosh me betha hun, ye khatt nahi likha nashe me
Naam-nahi Lena chahta, par baddua sab fasenge
Dodunga socha tha, par ab dar lagta hai chalne me
Tere hi saath wale, akhir me tujhpe hasenge
4 Paiso ke chakkar me zameer kabhi bechi nahi
Ban jata kisaan, dada ji se seekhi kheti nahi
Papa ki imandari se seekha tha neki ji
Dosto ne Noch khaya, khokha aur peti ji
Marne ke bad, jo kandha dene wale hai
4 logo me se, ek bhi na dhang se jane re
Maa ka khyal rakha, Gaya nahi kamane mein
Har khushi chhodi, chand khushiyon ko pane mein
Studio banaya tha, wo bhi Aaj kall hai karzo pe,
Me bhaag ni Raha hun apne diye farzo se
100 gaane bana kar bhi, ek gaana na bike aur
Mujhe na kuch aata sivay likhna tarzo ke
Maaf karna agar khatt se aakhein nam ho jay
Saalo se break lagi thi na gane ab Tak aay
Mein phone ni utha pata, Dil baat karne se dare
Marne ke bad bhi, shayad ye dard na kam ho pay
Mujhe nahi lagta meri kisi ko hai fiqar
Ghuttt kar roya ni jaata, Roo raha hun cheekh kar
Dil ko halka kar diya, lee ne khat ko likh kar,
Marne ke bad na karna Mera yaha zikar

The End •