Ek Influencer Ki Maut歌词由Pranav Abhyankar演唱,出自专辑《Ek Influencer Ki Maut》,下面是《Ek Influencer Ki Maut》完整版歌词!
Ek Influencer Ki Maut歌词完整版
Namaste Doston
Kavita ka sheershak hai : Ek influencer ki maut
Ek influencer ki maut huii ,
Uspar charchayein bahut huii ,
Ek band Kamre mein laash mili ,
Jo jyadatar niraash mili ,
Zameen pe T-Shirt finka tha ,
Like and Subscribe likha tha ,
Table pe gilaas pada tha ,
Youtube ka icon jada tha ,
Tafteesh ko Police aayi thi ,
Bheed dekhkar sakpakai thi ,
Hawaldaar ko samajh na aaya ,
Situation dekhkar ghabraya ,
Naam sunkar aur chakraya ,
Use laga Christian naam hai ,
Kisi ne bataya naam nahi kaam hai ,
usne kaha yeh influencer kya hota hai ?
Dooja bola Minister hoga ,
Teeja bola Barrister hoga ,
Chautha bola collector hoga ,
Paanchwa bola Actor , Singer , Dancer ,
koi Lecturer Scholar ,
Scientist ya doctor hoga ,
Tabhi toh shayad itne mareez ya bhakt bahar darshan ko aaye hain ,
Uksaaye , ghabraaye , sakuchaye , tilmilaaye hain ,
Laash ke saath selfiyaan lene ko maaramari pe utar aaye hain ,
Itne mein ACP bola naa naa inme se koi nahi tha ,
Aahein bharte hue kuch bolte hue woh ruk gaya ... bola jaane do
Constable ab tak confused the ,
Aaj ke is satya ke aage diffused the
Logon ki baatein sun hairaan the ,
Achambhit , aashcharyachakit , pareshaan the ,
koi keh raha tha ,
inki hamne koi video miss nahi ki ,
ek bola raha tha ,
humne toh videos ki reaction videos tak miss nahi ki ,
Ek kah raha tha
zinda toh kabhi darshan na hue inke dead body hi dekh lein ,
Ek bol raha tha ,
Inka handle ya channel bikaau ho toh khareed lein ,
Ek fusfusa raha tha ,
Doston aaj hum aaye hain apne pyaare influencer ki mayyat par ,
Aapko agar shavyatra ka coverage pasand aaye toh zaroor hamare channel ko subscribe karein ,
Ek bol raha tha ,
Khareede hue followers ke dum par Influencer bana tha shayad
Utni bheed to nazar nahi aa rahi jitne views inki videos mein aate hain,
Ek mayyat ke reaction videos bana raha tha ,
Ek reaction videos ke reaction videos bana raha tha ,
Ek Reaction videos ke memes bana raha tha ,
Peeche kahin daba chhupa Pandit chilla raha tha , Cheekh raha tha
Woh jaata tha Dead body ke go live jaane ka muhurat nikla jaa raha tha ,
Charon taraf banti bikharti reelon mein uska dum ghuta jaa raha tha,
Magar woh Influencer apni mayyat ka tamasha dekhkar muskura raha tha ,
Uske bheetar ka insaan to shayad kabhi ka mar chuka tha ,
Woh baahar wala influencer aaj baar baar mara jaa raha tha ,
Ek influencer ki maut huii ,
Uspar charchayein bahut huii ,
Dhanywaad