Samay歌词由Saniya Mq演唱,出自专辑《Samay》,下面是《Samay》完整版歌词!
Samay歌词完整版
Intro : Nafrat dukh aur kathor halaat yeh sab na zindagi ka hissa hai
Per insab ko bhi jaana hota hai samay ke saath !
Verse
Samay k saath jaye zindagi ka bhaar bhi
Samay ke saath chala jayega udhaar bhi
Samay ke saath thik ho jayegi zindagi
Samay k saath khatam ho jaye sawaal bhi
Ha Puri ho jati ek din dua aur aarti
Itna sabar Kiya to thoda sa ab aur sahi
Ha janun baatein tumko lagti meri kagazi
Karo yakeen mera hai yeh hi asal zindagi
Halaat sakht honge shayad toot jaoge
Jo man mein bhar rakha apno se na keh paoge
Bharengi ankhein thodi der hogi khamoshi
Aur thodi nafrato se bhar jayega dil tabhi
Tum ankhe band karna yaad rakhna mantra ek
Yeh jeewan her tarah se khelta samay ka khel
Yakeen hai khud pe mujhe aur banane wale pe
Ager bhatak chuke to woh dikhaye raste
Hook
Tu ayy zindagi tu khel tera khel
Hum bhi dekhte hai kab tak u satayegi hume
Tu ayy zindagi tu khel tera khel
Hai yakeen mera kathor ek din badlega samay
Samay to badlega , mera bhi aur sapne ka
Jo manga meine sab dega
Kala mein Aksar kal dekha , salah se kuch bhi sasta na , wafa sa kuch bhi mehnga na,
Bharosa nahi insaan ka to aayina bhi shakk mein haa
Zaroori hai mager ho raaste mein pathar bhi
Phir qeemat samjhti har raste mein manzil ki
Ha bolo kya ho ager her cheez mein asaani to her Jeet ki kahani mein ghisi piti zindagi
Hai dard paas to us dard ka ek mayena
Her koi apne Zakhmo ko is tarah se sarahe na
Kavita kehti hai ke Dil mein roshni rakho ha yani ke yakeen rakho andhera to chat jayega
Mein bhi faani meri kahani bhi faani
Ek din khatam hoga Silsila aur khatam hogi kavita
Ha rakhna yaad ager khushiyan nahi mili to phir
jaari rahi kahani yeh kahani ka anth na
Ha thoda aur thoda aur kehke jeete ja
Yeh chote dard hai ek din bharenge ghao bhi
Khayaal yeh hai ki in khuaabo ki ho Seema na
Ek din hakeekat honge khayaali pulao bhi
Tu ayy zindagi tu khel tera khel
Hum bhi dekhte hai kab tak u satayegi hume
Tu ayy zindagi tu khel tera khel
Hai yakee mera kathor ek din badlega samay