Jaanein Bachayenge歌词由Arijit Singh演唱,出自专辑《Jaanein Bachayenge》,下面是《Jaanein Bachayenge》完整版歌词!
Jaanein Bachayenge歌词完整版
Jaanein Bachayenge - Arijit Singh (阿里吉特·辛格)
Lyrics by:Neelesh Misra
Composed by:Arijit Singh
Chehra humaara ab hum
Kam kam hi dekhte hain
Kamron mein bebasi ke
Bas gham hi dekhte hain
Bacchon ka apne hasna
Bas phone par hai dekha
Ghayal hatheliyon par
Jeevan ki tooti rekha
Hum ghar ke bistaron par
Kab se nahin hain soye
Chhup kar ke naqabon mein
Hum kitni baar roye
Lo rakh lo apne tamge
In surkhiyon ko rakh lo
Har roz ki in farzi
Humdardiyon ko rakh lo
Kyun mera rehnuma ye
Sab rokta nahi hai
Kabhi maut ke munh mein yun
Koi jhonkta nahin hai
Koi rehnuma nahin hai
Kuch soojhta nahin hai
Jo zindagi bachaate unko
Koi poochhta nahi hai
Meri bhooli muskurahat tum yun samhaal rakhna
Apna khayaal rakh ke
Mera khayaal rakhna
Meri bhooli muskurahat tum yun samhaal rakhna
Apna khayaal rakh ke
Mera khayaal rakhna
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Aa Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Oh oh oh
Oh oh oh
Oh oh oh
Oh oh woh oh
Bhar ke cylinderon mein
Main zindagi hun dhhota
Kaash aisa jaadu aata
Ye khatm hi na hota
Aankhon ke saamne jo
Cheekhein nikaalte hain
Wo saans ke nadi mein
Sikke khangaalte hain
Auron ke ghamon se ab
Hai toot rahi chhati
Aankhein hain thaki aise
Ab ro bhi nahin paati
Mujhe de do thodi fursat
Mujhe de do ghar ka kona
Mujhe doston se milna
Mujhe der tak hai sona
Bacchon ne jaane apni
Ki ya na ki padhaai
Wo qaid hain kamron mein
Mujhko bhi na rihaai
Kaise milega rasta
Kuch boojhta nahi hai
Jo zindagi bachaate unko
Koi poochhta nahi hai
Meri bhooli muskurahat tum yun samhaal rakhna
Apna khayaal rakh ke
Mera khayaal rakhna
Meri bhooli muskurahat tum yun samhaal rakhna
Apna khayaal rakh ke
Mera khayaal rakhna
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Chal jaanein bachayenge
Aa jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Kamzor ab na padna
Na mujhko padne dena
Jo bhi ho jaise bhi ho
Mushkil na badhne dena
Kamzor ab na padna
Na mujhko padne dena
Jo bhi ho jaise bhi ho
Mushkil na badhne dena
Andar se toote hain hum
Phir bhi chalte jayenge
Chal jaanein bachayenge
Chal jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Aa jaanein bachayenge
Hmmm woah
Oh oh woh oh
Oh oh oh
Oh oh oh
Oh oh oh
Hmm