KAASH歌词由Samira Koppikar演唱,出自专辑《KAASH》,下面是《KAASH》完整版歌词!
KAASH歌词完整版
Tu ruru tutu.. tu ruru tu turu
Tu ruru tutu.. tu ruru tu turu
Kaash chhoti-chhoti si inn cheezon mein
phir se milti Khushi….
kaash do char pal se bhi zyada
theherti Hansi…….
agar hum Mann ki baatein
kuch kuch zyada karte bayaan
toh na mudte, na mudke dekhate …..
jo hua so hua
chal humsafar Neele mein bharein Hara
chamke Dagar kadam toh uthein zara
Rumaani kar lein aa dil ki kahaani
chal rangein Hum aasmaa
inn khaali pannon me yun bhar dein nadaani
samajh mein kucch na rakha
Tu ruru tutu.. tu ruru tu turu
Tu ruru tutu.. tu ruru tu turu
Kaash nadiyan do raahon pe tahaltin
gumsum phir se mile
kaash malhaaron ke vo geet gaayein
ghul jayein falsafein
bas yun hi jamuni shamein
hum katra katra kar lein jama
aur syaahi ke rang badal ke zara
pannon ko phir se likhein…
Pardey badal dein, gamlon ko lagayein,
sajaayein ye kamra
tapte makaan mein khidakiyaan banaayein
aane dein kuch havaa
baithe -baithe bas sochte waqt na bita…
Rumaani kar lein aa Dil ki kahaani
chal rangein Hum aasmaa
inn khaali pannon me yun bhar dein nadaani
samajh mein kucch na rakha
Tu ruru tutu.. tu ruru tu turu
Tu ruru tutu.. tu ruru tu turu
Tu ruru tutu.. tu ruru tu turu
Tu ruru tutu.. tu ruru tu turu