Move On歌词由Kunal Kartik演唱,出自专辑《Move On》,下面是《Move On》完整版歌词!
Move On歌词完整版
(Verse 1)
Main jeena sikh raha hoon tere bina,
Din-raat ka farq ab samajh mein aane laga.
Har pal tere khayalon mein, main kho jaata hoon,
Par ab khud ko sambhalna seekh gaya hoon.
(Chorus)
Tere bina jeene ki aadat daal raha hoon,
Beshek kitni bhi mushkile aayi, main sambhal raha hoon.
Har mod pe yeh zindagi, mujhe aazma rahi hai,
Par main bhi ab ziddi hoon, apni raah bana raha hoon.
(Verse 2)
Raat ko ek dum se teri yaadein yaad aajaati hain,
Kese kese sambhalta hoon, kese kese dyaan batkaata hoon tere khayalon se.
Duniya zamana mujhe bura bana de, ke main hi jhootha aur main hi selfish,
Par teri nazaro mein humesha loyal Kunal rahoon, yeh hi meri khwahish.
(Verse 3)
Kabhi kabhi tanhaai aur akelepan ke wajah se saansein ukhadne lagti hain,
Aur phir mann karta hai ki ye haath ki lakeerein hi kaat doon,
Inn lakiro mein tu hi nahi, phir yaad aata hai,
Ye haath hi toh bas bache hain, jinhone aakhri baar terko pakda tha.
(Chorus)
Tere bina jeene ki aadat daal raha hoon,
Beshek kitni bhi mushkile aayi, main sambhal raha hoon.
Har mod pe yeh zindagi, mujhe aazma rahi hai,
Par main bhi ab ziddi hoon, apni raah bana raha hoon.
(Bridge)
Log kehte hain pyaar mein sab kuch kho jaata hai,
Par main toh haar kar bhi jeet ka maza le raha hoon.
Tere bina bhi apne aashiyan ko sajane ka junoon hai,
Yeh duniya samajh nahi paayegi, yeh mera sukoon hai.
(Verse 4)
Ek dum hosh mein jeete jeete kabhi kabhi hosh kho deta hoon,
Kya karu tere behoshi se ab tak nahi utt paaya hoon.
Par chinta mat karna, main seekh raha hoon jeena,
Tera strongest Kunal hoon, jee lunga akela.
(Verse 5)
Itno ke dhoke kahaye, jab bhi main jee gaya,
Aur tu toh mera imaandar pyaar tha, teri judaai toh bas yu hee seh lunga.
Par sach kahu toh yeh hi judaai nahi seh paa raha hoon main,
Kyunki dhoke aur judaai mein farak hota hai.
(Bridge)
Par haan, kabhi kabhi yaad aa jaata hai tera care karna mere liye,
Kya karu, teri yeh care hi toh nahi bhul paa raha hoon main.
Kyunki sabne humesha hate diya, par tune humesha mujhe buggu treat diya,
Tera special treat karna kese bhul jaau is mard waali duniya mein.
(Verse 6)
Kabhi kabhi toh tanhaai aur akelepan ke wajah se saansein ukhadne lagti hain,
Aur phir mann karta hai ki ye haath ki lakeerein hi kaat doon,
Inn lakiro mein tu hi nahi, phir yaad aata hai,
Ye haath hi toh bas bache hain, jinhone aakhri baar terko pakda tha.
(Chorus)
Tere bina jeene ki aadat daal raha hoon,
Beshek kitni bhi mushkile aayi, main sambhal raha hoon.
Har mod pe yeh zindagi, mujhe aazma rahi hai,
Par main bhi ab ziddi hoon, apni raah bana raha hoon.
(Outro)
Jahaan pe rote hue chote lagte hain, aur dusron ko rulate hue bade,
Meri aadat nahi hai ki tere se move on hone ke liye kisi aur se pyaar karun.
Kyunki tera abhi bhi woh hi loyal banda hoon,
Tere bina jeene ka sabak, har pal main likh raha hoon.