Catharsis歌词由abhi.演唱,出自专辑《Catharsis》,下面是《Catharsis》完整版歌词!
Catharsis歌词完整版
Soya nahi aur mein roya nahi
Kya khud ko maaf karuga kabhi?
Khoya sahi par mein roya nahi
Kya khud ko bhi pyaar karuga kabhi?
Listen, Abhijeet, The way you criticize and bully yourself;
Agar tumhari jagah tumhara dost hota kya tum uss se ese hi baat karte?
Nahi haina?
Treat yourself the way you treat your friends;
Wohi patience, love, care jo tum dusro ko dikhate ho;
Give it to yourself.
At this point, you need this from yourself the most.
I don't believe I deserve these things, Doctor.
Dil shuru se hi nazuk
Toh deeware bana li hai
Jinse pyaar ki umeed
Unhi se chote kha rakhi hai
Jo deewaro ke hai kaan
Toh mera saath ye gaati hai
Toote dil ke paimaan
Kitni shaan se apnaya
Tere zakhmo pe marham
Pankh sapno ko lagaya
Laga khuda se tujhko paya
Par mujhpe hasra tha shaitaan
K kitna ladka ye nadaan
Apni neend kar haraam
Jisko dera ye apni jaan
Usko rehne nahi tha tanha
Ye uska bana manoranjan
kisi aur k sath wahan pe
woh farma Rahi araam
Chorhe dost, chhuta kaam
Usko maanke tu ghar
Khud ka bhulgea maqaam
Ke mehmaan tha tu uska
Agar tu nahi toh aur bhi hai
Jo bharege uska daam
Tu nahi hai khaas
Tu aam se bhi kam
Khudse hai naraaz
Bhula khudka kyu wajood
bana jaan k anjaan
Jo khamoshi ko na samjhi
Alfazo ka toh kya hi degi tujhko woh inaam
Soya nahi aur mein roya nahi
Kya khud ko maaf karuga kabhi?
Khoya sahi par mein roya nahi
Kya khud ko bhi pyaar karuga kabhi?
Mann lagta nahi ab dharti pe kaash
Badalon pe charh jayu
Bas baatein karu mein perho se
Insano se mein chup jayu
Par baarish ho jo teri zulfon se
Patte ki tarah mein jhuk jayu
Aur girta raha mai tere ishq mai jo
Teri nafrato se ab mai dhul jayu
ghul jayu mai kisi ghazal mein
Gulzar sahib ki koi nazam mein
Mohabbat ko kyu karu badnaam
Fareb toh tha tere vasal mein
Asal mein aankhein moond kar
Khud hi gaya mein qatal e wajood kar
Badsaluki badsurati ko bhool kar
Chup raha mein aur tu hasi mera khoon kar
Raakh se ab mein ubhar raha hu
Kamaal hai k firse chal raha hu
Shudhi karan khud ka kar raha hu
Tere diye zakhmo ka daag bhi na mile
Ek esa tapp mein kar raha hu
Jo mai roya nahi woh ansu gawa hai
Pyar ka matlab mein badal raha hu
Raha hu badal apne taur aur tareeke
Logo k vaar mujhko lagte ab feeke
Jeeta hu chahe apne hontho ko seeke
mic pe aake toh sach hi hai cheekhe
Virasat-e-Lahoo mein mili likhayi
mtlb khoon ki boondo se Alfazo ko seenche
Khudpe pe naaz ho ese karam hai beeje
Bin maafi tumko kiya hai maaf
Toh apni aukaat kripiya rehna ab seekhle
Soya nahi aur mein roya nahi
Kiya khud ko hai maaf ab giruga nahi
Khoya sahi par mein roya nahi
Hoga khud se bhi pyaar sapne sach kar sabhi
Soya nahi aur mein roya nahi
Kya khud ko maaf karuga kabhi?
Khoya sahi par mein roya nahi
Kya khud ko bhi pyaar karuga kabhi?